Place For Business Add

Friday 30 March 2012

Reisha - Nazla - Khansi - Flu - Cough


  1. agar nazla ya gala kharab ho aur akser resha ho jata ho to rozana raato sonay se pehlay 3 danay badam (almonds) aur 3 kali mirchain (black pepper) chaba kar kha lia karain. 1 haftay mai resha khatam ho jaeyga.
  2. jaltay huey koelon per thori si sugar daal ker iska dhuan sunghain, zukaam door ho jaeyga.
  3. khansi k liye 1 tola ALSI koot kar 1 pao PANI (water) mai boil karain, jab pani aadha reh jaey to chhan kar 14 qatray (drops) KALONJI ka oil aur 2 tola SHEHAD (honey) mila kar pilaen.
  4. Galay ka darad ke liye neem garam pani (water) main aadha chammach namak (salt) mila ker ghararay karain  galay ka darad door ho jae ga.
  5. Ajvaen desi 5gram, dar cheeni 10gram, sonthh 10gram, dana bari elaechi 7gram --- grind kar ke safoof bana kar kisi dabbi mai mehfooz kar lain.......... adha gram suba aur shaam, podinay ke kehvay ke sath ya taza paani ke sath --- har kisam ke nazla, zukaam aur dust allergy ko khatam karta hai.. tab tak istamal jari rakhain jab tak araam nai aata... bohat mujarrab o aala nuskha hai...
Contact Information
Email: hdrkashif@gmail.com
Facebook: Dr Kashif Imran
WhatsApp: 0337-1426000
http://wa.me/+923371426000

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.